innalillahi wa innailaihe rajeoon
jab aun o mohamed ko qaza le gayi aa kar
ye keh ke bahot roya hai zainab ka baradar
innalillahi wa innailaihe rajeoon
pamaal hua dasht mein qasim sa gule tar
bole hussain laashe ke tukdon ko utha kar
innalillahi wa...
jab leke chala mashk o alam shere dilawar
shabbir bahot roye hai parcham pe ye likh kar
innalillahi wa...
maara gya darya pe jo sarwar ka baradar
kehte thay shaah bhai ko seene se laga kar
innalillahi wa...
rahwaar se jis waqt gira dasht mein akbar
sheh bole barchi qalbe pisar se nikaal kar
innalillahi wa...
jab leke zaeefi mein chale laash e akbar
ro ro ke yehi kehte thay har ek qadam par
innalillahi wa...
jab teer laga gardane baysheer pe aa kar
moo choom ke asghar ka yehi kehte thay sarwar
innalillahi wa...
cheh maah ke asghar ka lahoo chullu mein le kar
takte thay aasman ko nauha tha labon par
innalillahi wa...
waiz jo chala gardane shabbir pe khanjar
sajde mein ye kehne laga zahra ka gule tar
innalillahi wa...