Kanz e Aza

Is Chand ki Das

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Najm Afandi. Lyrics in Roman Urdu.

doobi hui dukh ke saagar mein

suraj ki sunehri thaali thi

is chand ki das ko saanj talak

shabbir se dunya khaali thi


baba hi ke dam ke saathi thay

akbar bhi gaye qasim bhi gaye

moo takne ko ek ek ka rahi

chaati pe jo sone waali thi

is chand ki das ko...


is dhab se na ujda baagh kahin

is dhab se na laagi aag kahin

sookhi hui patti patti thi

tooti hui daali daali thi

is chand ki das ko...


sarwar ke hassan ki widwa ne

do chand se tukde waar diye

bacche to jiyale thay thi magar

maata bhi badi dil waali thi

is chand ki das ko...


kya lutke gaye karbal se haram

jab aayi hai sakhiyan milne ko

jis maang ko dekha ujdi thi

jis godh ko dekha khaali thi

is chand ki das ko...


najmi ye hussaini chaukhat hai

yan aa ke muraein milti hai

is daawar se bhiksha le ke chale

aaye thay to jholi khaali thi

is chand ki das ko...