Kanz e Aza

Jaa Rahi Hai Behan

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

utho hussain suye shaam jaa rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan


tumhari bali sakina ke chin gaye gohar

lahoo hai kaano se jaari bata rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan

utho hussain suye shaam...


rida bhi chin gayi bhai tumhare qatl ke baad

faqat duaon ki chadar udha rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan

utho hussain suye shaam...


waraq zameen pe quran ke hai bikhre huwe

inhi ko dekh ke aansu baha rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan

utho hussain suye shaam...


bhatije bhai aur unke mohib shaheed huwe

isi liye saf e matam bicha rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan

utho hussain suye shaam...


rawan rakhe hai jo zulm o sitam layeeno ne

tamaash beeno ko wo sab suna rahi hai behan

salaam karne ko maqtal may aa rahi hai behan

utho hussain suye shaam...