jab ada khanjar talay shabbir ka sajda hua
karbala ka dasht ahle zarf ka kaaba hua
mustafa ke baad haq e fatema cheena gaya
maal o daulat ke liye islam ka sauda hua
jab ada khanjar talay...
hum ghulamane ali kasrat se ghabrate nahi
hai hamare qalb par nade ali likha hua
jab ada khanjar talay...
sirf matam ki sada aur matame shabbir se
dushmane aal e nabi hai aaj tak sehma hua
jab ada khanjar talay...
aur kitne gham uthane hai abhi shabbir ko
laasha e qasim hai ran mein khaak par bikhra hua
jab ada khanjar talay...
khauf kar ay shimr zainab dekh kar mar jayegi
kund khanjar gardan e shabbir par chalta hua
jab ada khanjar talay...
yun bandhe haathon pe ho shaam o sehar laakhon salam
chaak dil haathon se kufr o shirk ka parda hua
jab ada khanjar talay...
ay muhib khoon e jigar ashkon mein dhal jaane ke baad
yaad pyason ko kiya jis waqt ye nauha hua
jab ada khanjar talay...