Kanz e Aza

Pathar Hai Aankh Jisme

A noha written by Mohib Fazli. Lyrics in Roman Urdu.

pathar hai aankh jis mein ke ashk e aza nahi

wo dil nahi ke jis mein ali ki wila nahi


jis qalb mein mawaddat e aale iba nahi

samjho nabi se usko koi waasta nahi

pathar hai aankh...


bas us pe zeb deti hai dastaar e mustafa

jo sar yazeediyat ke muqabil jhuka nahi

pathar hai aankh...


karbobala najaat e bashar ki ikayi hai

karbobala ke baad koi karbala nahi

pathar hai aankh...


hai dil ghame hussain mein ek ashk ke aewaz

gar khuld mil rahi hai to sauda bura nahi

pathar hai aankh...


sadiyon se jal raha hai charaghe ghame hussain

ashkon ka ye charaagh hawa se bujha nahi

pathar hai aankh...


islam ke waqaar pe khanjar chala tha ye

shabbir ke galay pe ye khanjar chala nahi

pathar hai aankh...


aao ghame hussain mein matam bapa kare

ye wo namaz e ishq hai jiski qaza nahi

pathar hai aankh...


zainab khadi hai ad-jale qaimon ke darmiyan

kya waqt aagaya hai ke sar pe rida nahi

pathar hai aankh...


zainab ne be-ridayi se bazaar e shaam tak

wo kaunsa sitam hai jo dil par saha nahi

pathar hai aankh...


ya rab tere nabi ki shariyat to bach gayi

aal e nabi ke ghar mein to kuch bhi bacha nahi

pathar hai aankh...


ta zindagi muhib ne munafiq se jang ki

halaan ke uske haath mein koi asa nahi

pathar hai aankh...