Kanz e Aza

Jab kabhi gheerate insaa'n ka

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Jab kabhi gheerate insaa'n ka sawaal aata hai

Binte zahra tere parde ka qayaal aata hai

Darmiyaa'n laasho ke tanha nazar aate hai hussain

Jab ke aashoor ke sooraj pa zawaal aata hai


Mout kis sonch me hai laashae akber pa khadi

Kya payambar ki jawaani ka qayaal aata hai

Mutthiyaa'n bheenj ke pheri hai zabaa'n hoto'n par

jab ke shashmaahe pa hyder ka jalaal aata hai


Badh ke abbas kaleje se laga lete hai

Jab sakina ki yateemi ka qayaal aata hai

Kya hataaega koi nehr se qaime sheh ke

Baazue sibte payambar ko jalaal aata hai


Khoo'n bhara kurta utha leti hai badhkar zainab

Jab ke darbaar me loota hua maal aata hai