jab kat gaye darya pe alamdar ke baazu
shanon se juda ho gaye karrar ke baazu
saahil pe tadapne laga abbas ka laasha
baandhe gaye jab zainabe lachaar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
allah salamat rakhe saqqa e haram ko
sheh choom ke kehte thay wafadar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
naize pe lahoo rota raha sibte payambar
jakde gaye jab abid e beemar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
jab khaak se bhai ke kate haath uthaye
tharrane lage sayyed e abrar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
durron ke sitam aur wo masoom sakina
shal ho na gaye shimre sitamgaar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
bandhwa ke rasan haathon mein binte shahe deen ne
khud kaate hai bayyat ke talabgaar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
bhai ki hifazat ke liye karbobala mein
ek aahani deewar thay karrar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
talwar se khat khaynch ke ye sher pukara
kya bhool gaye hyder e karrar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
jab shimr chalane laga khanjar shahe deen ko
yaad aaye bohat apne madadgaar ke baazu
jab kat gaye darya pe...
khaati thi tamache to yehi kehti thi masoom
ay kaash na kat’te mere ghamkhwar ke baazu
jab kat gaye darya pe...