Kanz e Aza

Khafela Roko

A noha written by Mir Takallum (2026). Lyrics in Roman Urdu.

rahwaare hussani jab tehra aur ek qadam aage na badha

kuch khaak utha ke haathon mein abbas se ye maula ne kaha

sar apna yahan katwayenge is khaak pe hum so jayenge


khafela roko ghazi khafela roko ghazi

aagayi karbobala khafela roko ghazi


hai safar khatm hua yehi maqtal hai mera

khafela roko ghazi


sun ke zahra ki buka jaan chali jaati hai

is zameen se to mere khoon ki boo aati hai

maa ki aati hai sada dil bhi kehta hai mera

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


apni manzil se kahin aage nahi jaana hai

humko sajjad ne bhai yahin dafna hai

roti behno se hamay yahin hona hai juda

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


soong kar khaak ko aisi hui riqqat taari

inna lillaah hua sheh ke labon se jaari

sajda e shukr kiya mud ke bhai se kaha

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


ye zameen paaon pakadti hai mere ruk jao

sar khule aaye thay jibreel abhi ruk jao

ay sakina ke chacha aagaya amr e khuda

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


maqtal e ishq ki jo maange wo qeemat dedo

ye zameen naam pe hamshakle nabi ke lelo

kaun basta hai yahan poochlo jaake zara

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


dekho wo chand mujhe aise hi kham hona hai

is tarayi mein mera baazu qalam hona hai

khoon mein doobega yahan ek bhatiji ka chacha

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


naam tum par na raqam saare azadaron ke

is jagah aayenge ab khafele zawwaron ke

mera matam hoga aayenge ahle aza

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


cheh mahino se safar mein hai musalsal asghar

kaan mein kehde koi aagaya ab aakhri ghar

teer khayega yahan wo mera maaheleqa

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...


ek wo din tha takallum ke ali ki beti

berida gyara moharaam ko yahan se jo chali

roke deti thi sada dukhtare sher e khuda

khafela roko ghazi

aagayi karbobala...