khafila jaa raha hai watan ke liye
karbala mein qayamat ka ek shor hai
khafila jaa raha hai watan ke liye
koi roti hai apne jawan laal ko
ro rahi hai koi kam-sukhan ke liye
jab chale thay madine se sab saath thay
aun o jafar thay akbar thay abbas thay
jaa rahi hoon madine to koi nahi
ab musibat faqat hai behan ke liye
khafila jaa raha...
koi chadar na thi kaisi bedaad thi
haath hote huwe bhi na azaad thi
kitni majboor kar di gayi thi behan
apne bhai ke dafn o kafan ke liye
khafila jaa raha...
apni barbadiyon ko gawara kiya
khoon mein doobe gulon ka nazara kiya
de diya fatema ka bhara gulsitan
karbala tere ujde chaman ke liye
khafila jaa raha...
qabre sarwar pe ke behan ne kaha
kya bataun ke bhaiya sitam kya hua
kufa o shaam mein hoon phiri berida
aap mohtaj yan thay kafan ke liye
khafila jaa raha...
qabre qasim se hai yun mukhatib phupi
teri shadi kuch is tarha ban mein hui
koi sehre ka bhi phool baaqi nahi
warna le jaati qabre hassan ke liye
khafila jaa raha...
bain karti thi ye banu e shaahe deen
mai kahin reh gayi mera asghar kahin
godh khaali hai meri sakina nahi
mar gayi qaid mein wo watan ke liye
khafila jaa raha...
cheh mahine ki jaan asghar e bezuban
ho gayae karbala ki zameen mein nehan
soone jangal mein ab jaa ke dhoondun kahan
maa tadapti hai us gulbadan ke liye
khafila jaa raha...
zainab e dil hazeen seh ke ranj o mahan
jab madine mein pahunchegi ye khasta tan
umr bhar haath malti rahegi behen
bhai abbas se saf shikan ke liye
khafila jaa raha...
kasre zaalim kabhi qaid khaana kabhi
nok e naiza kabhi taziyana kabhi
kaun si thi aziyyat jo di na gayi
har jafa thi aseer e mehan ke liye
khafila jaa raha...
naala e gham sehelta hai charkhe kohan
qabr e qasim pe aati hai bewa dulhan
chadare ashk laati hai behre kafan
ran mein teeron se chalni badan ke liye
khafila jaa raha...