Kanz e Aza

Masjide Kufa Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

masjid e kufa hai rozadaar hai

farq se oonchi lahoo ki dhaar hai


aah damaad e payambar ke liye

zeher may doobi hui talwaar hai

masjide kufa hai...


zakhme sar hai hyder e karrar hai

dheemi dheemi nafz ki raftaar hai

masjide kufa hai...


keh raha hai zakhme sar se beh ke khoon

doosra sajda bahot dushwaar hai

masjide kufa hai...


raat tak aabaad tha haq ka makaan

subha ko ujdi hui sarkaar hai

masjide kufa hai...


farq e paak e murtaza may taygh hai

ya kalaam allah mein talwaar hai

masjide kufa hai...


khoon mein hai gharq daamade nabi

saans ka lena bahot dushwaar hai

masjide kufa hai...