Kanz e Aza

Maula Ali Ali

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

maula ali ali mera aaqa ali ali

deene muhammadi ka sahara ali ali


jab fatha jang ho na saki teen roz tak

aakhir labe rasool se nikla ali ali

maula ali ali…


uska har ek bigda hua kaam ban gaya

mushkil may jab kisi ne pukara ali ali

maula ali ali…


mayyat jawan ki leke chale jab suye qayam

kehte thay zere lab shahe wala ali ali

maula ali ali…


jalte hue qayam se aati thi ye sada

ab to madad ko aaiye baba ali ali

maula ali ali…


khulao aake zainab o kulsoom ka gala

mushkil kusha laqab hai tumhara ali ali

maula ali ali…