mayyat hassan hussain padar ki uthaate hai
ahle madina khhak saron par udaate hai
ekkeeswi ko ho gaye maula ali shaheed
hum sab isi liye gham e hyder manaate hai
mayyat hassan hussain...
kehti hai ek ek se kulsoom kya karun
amma ki tarha chod ke baba bhi jaate hai
mayyat hassan hussain...
gham ki siyaah aandhiyan ut'thi hai chaar soo
aasaar kayenaat ke phir dagmagate hai
mayyat hassan hussain...
afsoos qatl kar diya hyder ko sajde mein
zalim khuda ke ghar ko bhi maqtal banate hai
mayyat hassan hussain...
dekho ajeeb haal hai ummal baneen ka
kaabu mein dil nahi hai khadam dagmagate hai
mayyat hassan hussain...
abbas bole maa se ke baba se poochiye
ye to bataye kis pa hamein chode jaate hai
mayyat hassan hussain...
sadma hai gibraeel ko poocho na is qadar
aaqa pe apne khoon ke aansu bahate hai
mayyat hassan hussain...
lillaah koi pooch le zainab ke dil ka haal
reh reh ke zakhm seene par nashtar chalate hai
mayyat hassan hussain...
jaate huwe janaze ko dekha to ro padi
murghabiyon mein bain hai razzakh jaate hai
mayyat hassan hussain...
daamad e mustafa ka hai kya momino kusoor
kyun ashkiyan janaze pa pathar chalate hai
mayyat hassan hussain...
qismat hai jin ki achi wohi jaaten hai najaf
jo door hai wo ashkon ki chadar chadate hai
mayyat hassan hussain...
aansu baha ke shaah par taskeen milti hai
dunya ke gham raza mujhe jab bhi satate hai
mayyat hassan hussain...