Kanz e Aza

More Bhaag Suhag

A noha written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

moray bhaag suhaag may aag lagi

akbar bhi nahi asghar bhi nahi


mai to sopan moti lutaye chuki

ab aanchal may kankar bhi nahi


moray bhaag suhaag may aag lagi

akbar bhi nahi asghar bhi nahi


ran veer moray ran bhoomi may

tum seesh kataye sowat ho


jangal ke jhaad kare san san

moray raaj kunwar tohe darr bhi nahi


moray bhaag suhaag may aag lagi

akbar bhi nahi asghar bhi nahi


moray sapan salone toot gaye

man meet moray sab rooth gaye


mann aise may dheeraj kan paaye

jab chain mohe pal bhar bhi nahi


moray bhaag suhaag may aag lagi

akbar bhi nahi asghar bhi nahi