moula huwe shaheed khuda ke makaan me
sher-e-khuda ka gham hai bapa do jahaan me
shiyyou'n ke waaste ye musibat ka waqt hai
sultane ausia ki shahadat ka waqt hai
aulaade fatima pe qayamat ka waqt hai
rone lagi namaaz bhi manzer ye dekh ker
tegh-e-sitam se zakhmi hua murtuza ka sar
syed ka khoon behne laga janemaaz par
larze me hai zameen falak kaampne laga
quraan deraha hai sada wa musibata girya
kunaa fazaaye'n hai'n kaba hai ghamzada
mara gaya habeeb-e-khuda ka jo tha habeeb
bechain-o-beqaraar hai koofe ke sab ghareeb
aale nabi yateem huwe eid ke khareeb
goonj uthi kayenaat me jibreel ki sada
kya zulm ibne muljim-e-maloon ne kiya
masjid me aaj koofe ki, kaabe ko dhaadiya
ghash kha rahi hai'n zainab-o-kulsoom baar baar
behaal gham se hote hai'n abbas-e-zeeweqaar
hasnain sar ko peet-te hai'n hoke beqaraar
ye kehti hogi khuld me zehra rasool se
kya waqt aagaya mere bachchau ke waaste
bin baap ke wo aalaam-e-ghurbat me hogaye
zainab ke bazuo'n ka, gulu-e-hussain ka
roro ke bosa dene lage shaahe laafata
aati thi baar baar tasawwur me karbala
daste hassan me haat sabhi ka diya magar
ghazi ka haath kehke rakha sheh ke haath per
har gaam per ye tera madadgaar hai pisar
shehzadi fatima se sila iska paayega
moshin kamal teri shifaat karayega
mehshar ke roz nouha yahi kaam aayega