Kanz e Aza

moula roote jate hai

A noha for Imam Raza (a.s) (2022). Lyrics in Roman Urdu.

Inna Lillahi Wa Inna Ilahi Raji’un


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Abbas Ke Aansu Pochhte Hain Shabbir Ko Kuchh Samjhate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Sar Dekh Ke Zakhmi Baba Ka Jab Betiyan Rone Lagti Hain

Bachchon Ko Tasalli Ki Khatir Zahra Ka Dard Sunate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zakhmi Mola Ki Aankhon Me Zakhmi Mashkeeza Firta Hai

Abbas E Jalin Ke Haathon Se Qatil Ko Jam Pilate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Hay02e

Firta Hai Nigahon Me Manzar Bazaron Ka Darbaron Ka

Kuchh Der Ko Ghar Ke Aangan Me Zainab Ko Saath Chalate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Ik Roz Isi Koofe Me Tumhe Be Parda Haram Ko Lana Hai

Aabid Ko Laga Kar Seene Se Bazaar Ka Haal Sunate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Bhai Ke Saath Meri Zainab Jayegi Jahan Jane Dena

Ye Tumko Wasiyat Hai Meri Abdullah Se Farmate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Sa’daat Ke Rone Ki Jo Sada Parde Se Bahar Aati Hai

Pahchan Lo In Aawazon Ko Logon Se Kahte Jaate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Haye

Maloom Tha Ik Din Shanon Me Zainab Ke Rasar Bandh Jayegi

Are Shabbir Se Kah Ke Qatil Ke Haathon Se Rasar Khulwate Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Jab Nazak Hichki Aati Hai Zainab Py Nazer Ruk Jati Ha

Allah Tujy Abad Rakay Honton Sy Duwa Fermaty Hein Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain


Pocha Hai Takallum Zainab Ne Hai Haider Sy Ye Akhre Sanson Mein

Aray Kyun Bazu Daika Jaty Hein Kyu Ser Ko Chome Jaty Hein Aur Mola Rotay Jatay Hain


Zainab Ka Chehra Dekhte Hain Aur Mola Rotay Jatay Hain