Kanz e Aza

Mujhe Abbas Na

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zeeshan Abidi (2025). Lyrics in Roman Urdu.

abbas ameer e lashkaram kaisa hai jaah o hasham

ek haath mein hai mashk aur ek haath mein parcham

chalo bhaago yahan se chodo darya aagaye hai hum


mai qamar e bani hashim hoo suno abbas hoo mai

mere baba ali jaisa agar na ho mera hamraah

nahi kehna nahi kehna mujhe abbas na kehna


suno darya ke pehradaron ye ghazi ka naara hai

hamari milkiyat hai pani par qabza hamara hai

agar himmat hai to bolo ke ye darya tumhara hai

suno ay shaamiyon sunlo

agar ek waar mein na cheen loo tumse mai ye darya

nahi kehna nahi kehna...


ali ka laal ho jarrar hoo naade ali hoo mai

jalaal aaye to sar se paon tak yaad e ali hoo mai

ye hargiz bhool na jaan ali baad e ali hoo mao

suno ay shaamiyon sunlo

agar talwaar ki tarha na kaate tumko ye naiza

nahi kehna nahi kehna...


ladoge mujhse kya tumko mera ash'al kuchal dega

agar mai hukm dedun nehr ka naqsha badal dega

lehad tak yaad rakhoge tumhe aisi ajal dega

suno ay shaamiyon sunlo

jo kehta hoo wo karta hoo agar aisa na ho wallah

nahi kehna nahi kehna...


jeena hai ya marna hai khud sochlo kya karna hai

naslon ko tumhari warna mere naam se hi darna hai

agar roohon ko bhi na kaat doo mai jismon ki tarha

nahi kehna nahi kehna...


na ladne ki ijazat hai na ladne ka iraada hai

sakin akab se pyasi hai ye gham sab se zyada hai

bas ek mashkeeza bharne do mere tumse ye waada hai

suno ay shaamiyon sunlo

agar pani piye ek boond ye seh roz ka pyasa

nahi kehna nahi kehna...


wahan zeeshan o irfan e aza pehra hai ghazi ka

jabhi to karbala koi yazeedi jaa nahi sakta

wafa ke baadshah ka unhe hai khauf itna

ali ka sher hai wo saron ko kaat dega

suno ay shaamiyon sunlo

abhi tak yaad hai unko mere ghazi ka ye kehna

nahi kehna nahi kehna...