hussain mera hai kehte hai zamane waale
ke baadshahi har ek dil pe hai ab tera hussain
nahi hai deen o mazahib ka yahn koi bandish
ye tera ishq hi sar char ke bolta hai hussain
hussain se ye deen hai
wo deen jo azeem hai
khaaliq bhi kya kareem hai
banaya usko is tarha
baatil se jaake wo lada
yazeediyat ke chehre se naqaab ko ulat diya
hussain uska naam hai jo waaris e quran hai
rasool e paak ne kaha mai is se hoo wo mujhse hai
khuda ne bad ke di sada zibhe azeem tu bana
ay nafse mutmaina tera intezar mujhko hai
jisne raza e haq ke liye jaan ko qurban ki
deen e payambari ke liye jaan ko qurban ki
jis ne azeez aqroba ko deen pe qurban ki
insan pe har aan tu ehsaan bana hai
maula hussain maula hussain
har ek azadaar ka pehchaan bana hai
maula hussain maula hussain
uska lahoo to zarb hai karbal ki zameen mein
na sochna wo dab gaya karbal ki zameen mein
insaniyat ko jazba e emaan diya hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...
kaaba bacha quran bacha deen bhi bacha
lekin hussain ka bhara ghar hogaya tabaah
hai fakhr mohamed ko wo nawasa mera hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...
hai fikhr na gham jaan lutaane ka zara bhi
kya josh hai himmat hai kasam rab e jahan ki
raahe khuda mein shaukhe shahadat sikhaya hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...
qasim kabhi akbar kabhi abbas sa bhai
ran mein shaheed hote thay har ek sipaahi
apne zeef kaandhe pe laasha uthaya hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...
kaate pade hai pyaas ki shiddat se zaban mein
aur garm hawa garm zameen dashte bala mein
aasan na tha aisa jihad is ne kiya hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...
zehra ki duaon ka talabgaar hai aazam
ahsan padho nauha karo sar peet ke matam
shauke ghame hussain to naslo ka pata hai
maula hussain maula hussain
insan pe har aan...