Kanz e Aza

Sakina Guzar Gayi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Azam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

baba ko rone waali sakina guzar gayi hai


zindan may ye ghul hai haan ye ghazab hua

saakit hai nafs haye bachi ko kya hua

kyun sard dasht e paa hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


baba ko yaad karke din raat rone waali

khamosh kyun padi hai dukh dard sehne waali

har bibi ro rahi hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


baba ke gham may bachi jee bhar ke ro na paayi

haan ye shaki ke darr se zindan may so na paayi

ab kaisi bekasi hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


seene pe sone waali ab khaak pe padi hai

zindan ka andhera kya usko kha gayi hai

abid tadap rahe hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


baba ka kata sar jab zindan may wo paayi

hasrat se ro ke boli mushkil hai ab judaai

mehsoos phir hua hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


hai chaar saal bachi aur baalon may safedi

kano se khoon hai jaari zakhmon may choor qaidi

zindan may mar gayi hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...


zindan may qayamat hai shor e girya matam

ahsan tadap tadap ke likhta hai ab ye aazam

zindan laraz raha hai sakina guzar gayi hai

baba ko rone waali...