Kanz e Aza

Mayyat Jawan Pisar

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

mayyat jawan pisar ki uthayi hussain ne

saari kameini apni lutayi hussain ne

ummat ki nao paar lagayi hussain ne

dunya ko haq ki raah dikhayi hussain ne


qasim ko de diya ali akbar ko de diya

bhai ko de diya ali asghar ko de diya

raahe khuda mein apne base ghar ko de diya

izzat khuda ke deen ki bachayi hussain ne

mayyat jawan pisar ki...


baakhi na be-zuban hai na akbar sa mehlakha

abbas e jaan wafa hai na qasim sa dilruba

har haal mein hussain ne shukre khuda kiya

peshani hukme haq pe jhukayi hussain ne

mayyat jawan pisar ki...


islam par thi kufr ki chaayi hui ghata

bechain thi lehad mein udhar roohe mustufa

sar de ke apna shaah ne deen ko bacha liya

bujhti hui ye shamma jalayi hussain ne

mayyat jawan pisar ki...


kha kar sina jo seene pe akbar guzar gaye

pakde hue kaleje ko sheh laash par gaye

bolay ye roke ay mere dilbar kidhar gaye

tanha pisar ki laash uthayi hussain ne

mayyat jawan pisar ki...