rasan e zulm mein nanhi si kalayi hogi
kis tarha baali sakina ko kal aayi hogi
ek nashtar sa laga hoga dil e maadar par
jab sina akbar e nashaad ne khaayi hogi
rasan e zulm mein...
aag jab qaimon mein aada ne lagayi hogi
masnad e ahmad e mursal bhi jalayi hogi
rasan e zulm mein...
dekh kar mayyat e baysheer ko maadar ne kaha
ye na maloom tha yun doodh badhayi hogi
rasan e zulm mein...
dhoondti hogi wo pehlu mein ali asghar ko
neend bano ko bhala kis tarha aayi hogi
rasan e zulm mein...
jab suna hoga gire sarwar e deen ghode se
nange sar zainab e muztar nikal aayi hogi
rasan e zulm mein...
fatema sughra ne asghar ko jo maanga hoga
godh ujdi hui bano ne dikhayi hogi
rasan e zulm mein...