Kanz e Aza

Rassi May Thi

A noha written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ho kar aseer e zulm junhi dukhtare ali

koofe ki simt gyara muharram ko jab chali

dekha ke khaak o khoon mein hai ghaltan pada hua

pamaal laash e dil e zehra o murtaza


rassi mein thi kalaiyan aur thay labon pe bain

mud mud ke dekhti thi behan laasha e hussain


dekha sakina baithi hai baba ki laash par

usko galay laga liya zainab ne aan kar

ay beti tujhko rona hai ta shaam kar ke bain

rassi mein thi kalaiyan...


bhai se yun juda hui wo gham ki mubtila

jis tarha rooh jism se ho jaati hai juda

be rooh kar rahi thi safar khwahar e hussain

rassi mein thi kalaiyan...


bhaiya tumhari laash hai sehra mein be-kafan

afsos tum ko dafn na kar paayi ye behan

tum uth gaye to uth gaya mere bhi dil ka chain

rassi mein thi kalaiyan...


choda tha jab madina jo haalat thi shaah ki

laash e hussain par wohi haalat behan ki thi

mitti pe jism tha sar e naiza sar e hussain

rassi mein thi kalaiyan...


qasim ki laash hai kahin akbar ki laash hai

farzand e fatema ka jasad paash paash hai

darya kinare sota hai ummul baneen ka chain

rassi mein thi kalaiyan...


aayi hai rooh e zehra sar e laasha e imam

zainab pukari amma mai jaati hoo suye shaam

tere supurd karti hoo amma tera hussain

rassi mein thi kalaiyan...


mukhtar karbala se palat kar jo hum chale

majid baha ke ashk yehi sochte rahe

choda behan ne kaise bhala laasha e hussain

rassi mein thi kalaiyan...