Kanz e Aza

Ye Matam Sada Rahe

A noha written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

ye matam sada rahe aur issay siwa rahe

ye farshe aza ay sibte nabi ta mehshar bicha rahe

ye matam sada rahe....


kitni hi uthay zulmat ki ghata

ho kitni hi tareek fiza

bujhne nahi paaye shamme aza

kitne hi uthay toofan magar roshan ye diya rahe

ye matam sada rahe....


ek nasl hatay ek nasl badhe

ek shama bujhe ek shama jalay

shabbir ka matam hota rahe

naslan baade naslan yuhin jaari silsila rahe

ye matam sada rahe....


kat-te rahe sar lut-te rahe ghar

dhaati rahe dunya zulm magar

chootay na kabhi shabbir ka dar

shabbir ke gham se aalam ka har gosha saja rahe

ye matam sada rahe....


ye zulm o sitam ye jaur o jafa

kya rokenge rasta tera

badh aur do aalam par cha ja

ta arsh zameen par chaayi hui matam ki ghata rahe

ye matam sada rahe....


ghamkhwar shahe abraar hai hum

baatil ke liye talwaar hai hum

tareekh ka wo kirdaar hai hum

mar sakte hai mit sakte nahi zehno mein zara rahe

ye matam sada rahe....


hum palte rahe toofano mein

behte rahe khoon ki dhaaron mein

chunwaye gaye deewaron mein

khud mit gaye baaniye zulm magar hum ahle aza rahe

ye matam sada rahe....


khoone dil se haan ahle aza

har mod se taaba karbobala

raushan rakho ek ek zarra

har aane wale hur ke liye ye rasta khula rahe

ye matam sada rahe....


kitno ke chehre utar gaye

ye hukm jab aaya jis jis ke

masjid mein hai khulte darwaze

sab bandh ho bas ek zehra ka darwaza khula rahe

ye matam sada rahe....


thak haar ke lashkar laut aaya

sar maar gaye khyber na hua

di has ke sada ahmed ne ke aa

ay daste khuda dar khyber ke hai tujhko bula rahe

ye matam sada rahe....


sookhe hue lab hal min ki sada

tareekh bhula sakti hai bhala

kya aalame ghurbat hai ba khuda

hai kaun sitam seh kar itne raazi ba-raza rahe

ye matam sada rahe....