Kanz e Aza

Zainab ne Kaha Ye

A noha for Darbaar e Shaam, written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ne kaha ye ro ro kar mai qaidi hoo

baba aao dekho aakar mai qaidi hoo


darbar may be-parda hoo khadi

baazu may rasan hai mere bandhi

nay range zamana dekhe koi

zaalim hai taqte muhamad par

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


nana ka utha jab se saaya

ek pal bhi na chain humne paaya

hote hote ye din aaya

shabbir ka sar hai naize par

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


barbad hua zehra ka chaman

bhai hai mera be-goro kafan

mai dukhyari lachaar behan

ro bhi nahi sakti mayyat par

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


aao aao abbas e ali

qaimo may hai sab aag lagi

be-parda hui aulaad e nabi

kya hoga sitam isse badh kar

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


wo dekho sakina phir royi

phir maar raha hai koi shaki

baazu may rasan hai mere bandhi

mai rokun to rokun kyun kar

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


mai kehne khuda hafiz aayi

majboor hai bhaiya maajayi

kaise doo kafan tum ko bhai

chadar bhi nahi mere sar par

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


qasim ho kahan akbar ho kahan

ay aun o mohamed jaati hai maa

abbas mere ay shere jawan

dekho to zara bhaiya uth kar

mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…


baba aao dekho aakar mai qaidi hoo

zainab ne kaha ye…