Is Aandhere Ghar Me Tujhku Codhkar Sakina
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
Sona Sona Sa Laagenga Tere Bin Madina
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
1.Qaid-e-Ghum Se Meri Jaan Qafila Rehha Howa
Jiska Intezar Tha Tujhe Wo Waqt Aagaya
Aansuo Ki Chao Me Ghamou Ki Hai Ameena
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
2.Kaise Denge Shah-e-Deen Ku Teri Mout Ki Khabar
Kaanp Uthta Hai Kaleja Bus Yeh Sonch Sonch Kar
Aaraha Hai Aj Rukh Pe Mout Ka Pasina
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
3.Teri Yaad Me Hamesha Aashke Ghum Bahaenge
Tujhpe Jo Sitam Howe Hai Kaisa Bhool Payenge
Bin Tere Azaab-e-Jaan Hai Hamara Jeena
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
4.Muntazir Aamariyan Hai Kya Nahin Yeh Hosh Hai
Maa Bularahi Hai Tujhku Aur Tu Khamosh Hai
Jaanlewa Hai Teri Khamoshi Yeh Sakina
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
5.Jo Lutey They Karbala Me Wo Aasase Milgaye
Hum Tujhe Pehnaye They Jo Goshware Milgaye
Dekh Kar Teri Rida Ku Phath Raha Hai Seena
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina
6.Zainab-e-Hazeen Ke Shad Qaid Me Yeh Bain They
Kis Tarha Se Aaye Sakina Ab Teri Phuphi Jiye
Teri Mout Ne Hamare Dil Ka Chain Cheena
Kis Tarha Madina Jaaye Hum Sakina