KISKO PUKAARE HAYE ZAINAB
Bete kahin aur bhai kahin hai
Haye mujhpar tang zamee’n hai
Koi mera hamdard nahi hai
Kisko pukaare Haye Zainab
Haye mujhe kyun maut na aayi
Lut gayi meri maa ki kamayi
Qatl huwe sab mere bhai
Kisko pukaare Haye Zainab
Chalti hai Shai par tegh-e-sitamgar
Koi nahi hai monis-o-yawar
Aajao Abbas-e-Dilawar
Kisko pukaare Haye Zainab
Dasht-e-bala hai veera’n veera’n
Jayen kahan hum log pareshaa’n
Tuhi batade sham-e-Ghareebaa’n
Kisko pukaare Haye Zainab
Khak pa baithe sar ko jhukaye
Balo se apna chehra chhupaye
Ghabrate hain ghum ke sataye
Kisko pukaare Haye Zainab
Aag lagi Zehra ke chaman mein
Goad ke paale sogaye run mein
Bhai bandhe hai baazu rasan mein
Kisko pukaare Haye Zainab