LASHA SHAHE MAZLOOM KA RETI PA PADA HAI AUR KHOON MEIN DOOBI HUWI MAQTAL KI FAZA HAI
Ye kaisi qayamat Shah-e-Bekas pe hai aaye
Akber hai na Qasim hai na Abbas sa bhaye
Kya Aalam-e-Ghurbat mein ghata zulm ki chaye
Ab tegh ke neeche isi bekas ka gala hai
Go subha se laate rahe ansaar ke laashe
Shabbir the khud teen shabo roz ke pyaase
Karta raha har haal mein jo shukr ke sajde
Sar us Shah-e-Mazloom ka naize pa chadha hai
Begor-o-Kafan khaak pa hai lasha-e-Sarwar
Abbas-e-Ali sogaye shaano ko katakar
Qaimo mein bapa Aal-e-Payambar ke hai mehshar
Faryad hai naale hain gham-o-Aaho buka hai
Kehti hai ye masoom sakina mere baba
Har gaam pa dete hai sitamgar mujhe eiza
Ab pyaas ki shiddath se mera jalta hai seena
Mujh bekas-o-mazloom pa ye kaisi jafa hai
Allah wo kya Sham-e-Ghareeba ka samaa’n tha
Nazroo’n mein to namoos ke tareek jahaa’n tha
Jalte huwe qaime the har ek simt dhuaa’n tha
Hatho mein shaqi ke sare Zainab ki rida hai
Daswi(10) ko moharram ki qayamat huwi barpa
Larza thi zameen aur falak kaamp raha tha
Tha sajdae akhir mein mohammed ka nawasa
Kya kahiye Sohail aise mein kya zulm huwa hai