Kanz e Aza

Lutaake ayi hoon karbal me ghar tera amma

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, recited by Anjuman e Hussaini (Imambada). Lyrics in Roman Urdu.

LUTAKE AAYI HOON KARBAL MEIN GHAR TERA AMMA

LAHAD PE MAA KI YE ZAINAB KA BAIN THA AMMA

Pada tha dasht mein bhai ka bekafan lasha

Kafan mai dene na payi na thi rida amma


Ridaaye’n chheen ke qaime jalaaye aada ne

Phiraya balwe mein hum sabko berida amma

Tamache bali Sakina ko shumr ne maare

Tadapke rehgaya Beemar-e-Karbala amma


The ek rasan mein bandhe haath saare kunbe ke

Bandha tha nanhi Sakina ka bhi gala amma

Uthaye humne mehan karbala se shaam talak

Chalaya kanto pa aada ne beqata amma


Nashaa’n rasan ke hai baazu pa dekhiye to sahi

Mai sath layi hoon saughaat-e-karbala amma

Mai leke aayi hoon bhai ka khoo’n bhara kurta

Jo waada apse tha poora hogaya amma


Ali ye karti rahi bain Sani-e-Zehra

Huwe hai zulm ki Zainab pa inteha amma