Kanz e Aza

MAA KI QABR PAR ZAINAB KARTI THI FUGHA'N AMMA

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, written by Ali Jaweed Maqsood and recited by Anjuman e Parwana e Shabbir. Lyrics in Roman Urdu.

Tang thi zamee'n Ham par dur aasmaa'n Amma

Aafato'n ka toofa'n tha Ham gaye jaha'n Amma

Karte hain aseeri ki dasta'n baya'n Amma

Mere dono Shaano par zulm ke nasha'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Phir rahe hain aankhon me Karbala ke sab manzar

Khaako khoon me ghaltaa'n Qasimo Ali Akbar

Khushk halq Bhai ka aur shimr ka khanjar

Bhai ke badan se khoo'n Aapka rawa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Dushmano ke narghe me Ibne Saaqiye Kausar

Taaba hadde beenaayi tegho naiza-o khanjar

Teer the kamaano me jholiyo'n me the patthar

Ghir gaya sinaano'n meMeraBhai jaa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Din dhala Qayamat ka raat hashr ki aayi

Raat saat me apne aur aafatein laayi

Bekafan tha Maajaaya Berida thi Maajaayi

Ghar me aag ke shole ghash me Naatawaa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Chaand aur sitaare the khaako khu'n ke baadal me

Mustafa ke Pyaare the bemazaar jangal me

Teri godi ke paale bekafan the maqtal me

Berida thi'n balwe meTeri Betiya'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Baade qatl bhi ummat zulm se na baaz aayi

Fouje zulm ghodo'n ko Sheh ki Laash par laayi

Rehgayi fugha'n karti Beqarar Maajaayi

Nahr par tadap utha Sheh ka paasbaa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Sar khule Haram baithe bekajaawa oonto'n par

Aur tamashbeeno'n ka tha hujoom raaho'n par

Sar Hamare Pyaaro'n ke saath saath Nayzo'n par

Aur bedawa Abid Meere Kaarwa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma


Karbala se Kufa aur phir yazid ki mehfil

Har qadam qayamat thi har qadam kadi mushkil

Ek nayi musibat thi Bekaso'n pa har manzil

Har qadam pa dekha hai suwe aasmaa'n Amma


Maa ki Qabr par Zainab karti thi Fugha'n Amma