nauha fazaon ne sunaya faraat ka
saahil pe qatl hogaya saqqa faraat ka
pyase ka khoon beh gaya mashkeeza chid gaya
lehron ke shor may tadapna faraat ka
nauha fazaon ne...
bacche taras ke reh gaye pani ki boond ko
shaane kata ke soya maseeha faraat ka
nauha fazaon ne...
wapas na aa sakega sakina tera chacha
kya dekhti hai har ghadi rasta faraat ka
nauha fazaon ne...
hai sabeel mashk e sakina ki yaad may
taqseem ho raha hai ye sadqa faraat ka
nauha fazaon ne...
maujein tawaf karti hai ghazi ki qabr ka
abbas ka mazaar hai kaaba faraat ka
nauha fazaon ne...
karbobala se shaam sakina ki qabr tak
bachi ko pani dhoondta aaya faraat ka
nauha fazaon ne...
pyason ke gham may sookh gaya zard hogaya
jaawed hum ne dekha hai chehra faraat ka
nauha fazaon ne...