Baraation ne kyun saffe maatam bichhaai hai
Dulhan ki maang khaakh se kis ne sajaai hai
Shaadi ka hai makaan faza Gham ki chhaayi hai
Bewa hui Hussain ki Beti duhaai hai
Maagtal se Laash Qasim e Naoshah ki aayi hai
Khushian tamaam hogayi aansu bahaiye
Dulhan ko laake farshe Aza par bithaiye
Shaadi ki rasm ho chuki bewa banaiye
Fizza ye kiske marne ka paighaam laayi hai
Magtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai
Bewo'n ke darmiyaan ye Farwa ki hai buka
Pal meMeri khushi ka jaha'n khaakh hogaya
Bete ka ghar basaane ka armaan tha Mera
Ibne Hasan ne maot ki basti basaai hai
Maatal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai
Farmaate the ye Shaah ghazab hogaya Bahan
Paamaal rannme hogaya Naoshah ka badan
Aur tukde tukde hogaya Bhayya ka Gul badan
Qasim ki LaashHamne aba meUthaai hai
Maatal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai
Jaweed Karbala ki ye Shaadi ajeeb thi
Lamhonme jo khushi thiWoGhamme badal gayi
Shaadi koi jaahan me hoti hai jab kabhi
Ibne Hasan ki Yaad zamaane ko aayi hai
Maqtal se Laash Qasime Naoshah ki Aayi hai