Kanz e Aza

Mehendi Qasim Tere

A noha for Shahzade Qasim (a.s), written by Rehaan Azmi. Lyrics in Roman Urdu.

mehendi qasim tere haathon may rachaye maadar

aaja aaja tujhe seene se lagaye maadar


koi qasid bhi nahi hai jo madine jaaye

kaise sughra ko madine se bulaye maadar

mehendi qasim tere...


phool ashkon ke piroti hoo tere sehre ke

sar pe aanchal tere aahon ka sajaye maadar

mehendi qasim tere...


haath may kangna jo baandhun to padhun naade ali

nazr e bad se tujhe aada ki bachaye maadar

mehendi qasim tere...


teri baraat may armaan ho baraati mere

aur sheh baala bhi asghar ko banaye maadar

mehendi qasim tere...


aqd ka seegha padhe rooh tere dada ki

gul e jannat teri masnad pe bichaye madar

mehendi qasim tere...


chand taaron ki kiran dhaanpu tere jodhe may

aur zehra ki rida sar pe udhaye maadar

mehendi qasim tere...


teri dulhan ki jo poshak hai palkon se siyun

us ko suraj ki nigahon se bachaye maadar

mehendi qasim tere...


kaisi baraat gayi ghar se na wapas aayi

dhoondne laal ko apne kahan jaaye maadar

mehendi qasim tere...


kaisi shadi thi ye rehaan ke marte dam tak

apne bete ke liye ashk bahaye maadar

mehendi qasim tere...