Luthkar Madina Zainab Tashreef Larahi Hai
Turbat Pe Fatima Ki Aansu Baharahi Hai
1.Balou Se Muh Ku Apne Dukhiya Chuparahi Hai
Shaanou Ke Neel Maa Ku Zainab Dikharahi Hai
2.Amma Main Berida Thi Balwe Me Aashqiyan Ke
Ahwal Sab Safar Ke Zainab Sunarahi Hai
3. Turbat Pe Maa Ki Aayi Rudad-e-Gham Sunayi
Kurta Lahu Bhara Ek Maa Ku Dikharahi Hai
4.Sar Pe Liye Hai Tuhfe Maidan-e-Karbala Ke
Mehshar Se Phele Meshar Zainab Utharahi Hai
5.Khoram Ek Macha Hai Majlis Yahan Bapa Hai
Arsh-e-Bari Ku Zainab Rokar Hilarahi Hai
6.Iqbal Kya Sunaye Zainab Ke Dil KI Halat
Mar Mar Ke Jeene Wali Jeena Sekharahi Hai