Kanz e Aza

Luti Kin Fizaon Mein

A noha written by Viqar Nagri. Lyrics in Roman Urdu.

luti kin fizaon mein aale payambar

na mai keh sakoonga na tum sun sakoge

hua kaise khaali ali ka bhara ghar

na mai keh sakoonga na tum sun sakoge


lagi dil pe barchi jigar moo ko aaya

sada aayi maqtal se baba kahan ho

chale kis ka laasha uthane ko sarwar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


wo khoonkhar sehra wo wehshi hawaein

wo sunsan jangal wo maa ki sadayein

kahan sogaye jaake jhoole se asghar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


bada shimr khanjar liye kiski jaanib

pukara tha maqtal se kis ne ali ko

nazar aaya sar kiska noke sina par

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


kahoo umme laila ka mai haal kaise

bayan kya ho kulsoom ki bebasi ka

utaari gayi kaise zainab ki chadar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


na poocho nakahad si taari thi kis par

na poocho kisay ghash pe ghash aa rahe thay

ab aise mein jalne laga kiska bistar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


sataya tha ghurbat mein kis ko shaki ne

kahoo kaise ruqsaar thay kis ke zakhmi

tamache lagata tha kis ko sitamgar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


wo be-chaadari wo aseeri ka aalam

wo pur-haul sehra wo bedafn laashe

wo shaam e ghariban ka dil soz manzar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...


viqar aah kis dil se ab mai bataun

jo guzri hai zainab ke qalb e hazeen par

wo bazaar o darbare koofe ka manzar

na mai keh sakoonga...

hua kaise khaali...