maqtal may sar ko peet ke kehti thi fatema
zaalim mere hussain ke sar ko na kar juda
zakhmi hai mera lakhte jigar khushk hai gala
pyasa hai teen roz ka ye mera mehleka
zaalim ne ek maa ki na aah o buka suni
aakhir galay pe phayr di farzand ke churi
le gaya shimr bete ka sar kaat kar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
saamne mar gaya haye noor e nazar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
kund khanjar chalata raha behaya
waqt e aakhir na pyase ko pani diya
haye chalti rahi jab churi halq par
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
us ghadi roye bekas pa arz o samaa
kha ke ghash gir gayi dasht may sayyeda
baal pakde huwe jab chala le ke sar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
haye sookhe galay par chali jab churi
apni maa ko sada ro ke sarwar ne di
amma pyasa hoo kehta raha ek pisar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
jaa bajaa jism par teer khaye huwe
kaisa shakir hai khaaliq ke sajde may hai
zakhmi teeron pe bete ka tan dekh kar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
baap ki muntazir hai wo dukhiya udhar
mar gaya dasht may us ka baba idhar
koi pahunchade yasrab may haye khabar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
kaise dekhun ye haalat pisar ki bhala
kar raha hai layeen tanse sar ko juda
gham se hone laga mera tukde jigar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
godh may jis ko rakhti thi apne sada
zulm aada ne us par ye kaisa kiya
laash uski hai jalti hui khaak par
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...
ek qayaamt ka manzar wo rehan tha
kaise danish raqam ho wo aah o buka
haye bekas ka naize pe aaya jo sar
reh gayi ek maa khoon rote huwe
le gaya shimr bete ka...