ya zahra ya zahra ya zahra
phelu shikasta tooti phasliyan
haye ummat ne kyun darbar bulaya
kitni mazloom hai zahra
baade rasool e paak jo zulm o sitam huwe
ta marg unki aankh se aansu nahi ruke
aankhon ke gird pad gaye halqe batool ke
ye zulm ghair ne nahi apno ne dhaaye thay
sadiyan guzaar di gayi jaari hai wo jafa
ahle aza to aaj bhi karte hai ye buka
kitni mazloom hai zahra...
roodad e gham sunaun zara kalmago suno
tareekh de rahi hai gawahi ye aap ko
aaye thay aag leke dar e sayyeda pe jo
eesayi bhi nahi thay yahoodi nahi thay wo
bibi pe jab giraya dehakta hua wo dar
islam keh raha tha yehi cheekh cheekh kar
kitni mazloom hai zahra...
khamosh bu-turab thay manshaye kibriya
darbar mein layeen ke pahunchi jo sayyeda
hasnain ke siwa koi hamdard hi na tha
sab jaan nisaar hogaye qatil ke hamnawa
jo chod kar gaye thay janaza rasool ka
karte bhala rasool ki beti se kya wafa
kitni mazloom hai zahra...
attharwen baras mein uthaye hai ye mahan
din raat sayyeda ke kaleje mein thi dukhan
dekhi gulu e hyder e karrar mein rasan
roye hussain zainab o kulsoom aur hassan
jab thay ali hisaar mein us din ko royi hai
tanhaiyon mein baith ke mohsin ko royi hai
kitni mazloom hai zahra...
karwat se daaye jaanib kabhi so nahi saki
khoon ruk nahi raha tha jo zakhmi hui jabeen
tooti jo phasliyan sukoon tha kahin nahi
ab jee nahi sakungi ye zehra ko tha yaqeen
is darja zakhm tha ye kunfaz ki zaat se
tasbeeh pad na paaye kabhi seedhe haath se
kitni mazloom hai zahra...
ghusl o kafan ka waqt jo aaya tha bakhuda
maula ke ghar qayamat e sughra hui bapa
girya ali ka sun ke ye zainab ne ki buka
jaan se guzar na jaaye kahin sher e kibriya
yaara raha na zabt ka rone lage ali
phelu ka zakhm dekh ke kehne lage ali
kitni mazloom hai zahra...
kuch to batao logon rulaya gaya hai kyun
makhdooma e jahan ko sataya gaya hai kyun
ye zulm baad e marg bhi dhaaya gaya hai kyun
mayyat ko fatema ki chupaya gaya hai kyun
chalees qabr e zehra banayi thi is liye
zehra ki qabr koi musalman na dekh le
kitni mazloom hai zahra...
mismaar qabre fatema zahra ko kar diya
jaari hai phir bhi zulm ka ummat mein silsila
le lo jo naam e qatil zehra to hai saza
sadiyon ke baad bhi hai wohi zulm aur jafa
socha kabhi nahi tha ke ye din bhi aayega
padna hai jurm marqade zehra pe fateha
kitni mazloom hai zahra...
mesum ke askh tera qalam mazhar abidi
kar hi nahi sakenge bayan wo sitam kabhi
jo zulm seh gayi hai wo beti rasool ki
ta umr meri bibi azadaar hi rahi
ro kar hayaat kaati ghamon ki aseer ne
likha hai marsiya mein anees o dabeer ne
kitni mazloom hai zahra...