kya hui thi kaho jafa zahra kyu raha haath me asaa zahra
sirf atthara saal ka sin tha
pusht qam kyu hui thi aye bibi
tu na baba pe ro bhi sakti thi
tujh pe ye thi nayi jafa zahra
tu shareeke hayaate hyder thi
ab akele hai murtaza zahra
di na takleef tune fizza ko
kaam haatho se khud kiya zahra
puchte hai ye bache aye baba kyu sunaati nahi sada zahra
rehne paayi na wo bhi dunya me
ek thi binte mustafa zahra