sawaale hurmate kaaba hai kya kare abbas
behen hujoom mein tanha hai kya kare abbas
ye ghairaton ke liye ek sawaal hai ke nahi
to ab sina pe teherna muhaal hai ke nahi
aseer zainabe kubra hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
bharosa jin pe tha tukdon mein ab wo bat bhi chuke
jo thay rida ke muhafiz wo haath kat bhi chuke
nigaah mein koi waada hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
waraq waraq hai badan aur qalam qalam shaane
ghulam par jo guzarti hai koi kya jaane
sina ki nok pe aaqa hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
banun sakina ka saqqa badi tamanna thi
mila dun qaime se darya badi tamanna thi
ab aankh khoon ka darya hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
wo jisne pyason se waada kiya tha pani ka
haram ko jis pe bharosa tha paasbani ka
kata hua wohi shaana hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
sina ki nok se akbar ki pyaas bujh bhi chuki
sitam ke teer se asghar ki pyaas bujh bhi chuki
sakina aaj bhi tashna hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
jo zakhm khud ko mile unki koi fikr nahi
magar sakina ko durre laga rahe hai layeen
ye zakhm to abhi taaza hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...
ajeeb hashr hai aaakhon mein aamir o nayyar
rula raha hai lahoo dil ko shaam ka manzar
labon pe ek hi nauha hai kya kare abbas
sawaale hurmate kaaba...