Kanz e Aza

Lahoo Lahoo

A noha written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

lahoo lahoo dashte karbala hai


nabi ki beti ke dil ke tukde hai jaa ba jaa

khaak o khoon mein lathde

hai barchiyon mein koi kaleja

churi ke neeche koi gala hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


tadap utha alqama ka pani

guzar gaya fatema ka jaani

baras raha hai lahoo falak se

zameene maqtal ko zalzala hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


na paas ammu hai aur na baba

kise ab awaaz de sakina

koi layeen cheenta hai baali

koi rida le ke jaa raha hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


ajeeb hai bekasi ka manzar

na koi monis na koi yawar

jo laash bhai ki bekafan hai

to sar behan ka bhi berida hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


ye kaun bachi hai mehwe zaari

hai jiske kaano se khoon jaari

kahan ho ammu madad ko aao

layeen tamache laga raha hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


dhuan dhuan hai qayaam saare

ali ki beti kise pukaare

kahin pe bistar jhulas raha hai

kahin pe jhoola sulag raha hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


mere khuda kaun kis ko roye

hai sab ke sab apni jaan khoye

kisi ke baazu kate huwe hai

kisi ka baazu bandha hua hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


khuda e ghairat kathin hai saa'at

nawaz zainab ke dil ko quwwat

dayaar e karbobala se aage

abhi to kufe ka saamna hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...


azan e gham de raha hai aamir

karam hai kadiyal jawan ka nayyar

kalaam mera likh raha hai nauha

bureeda shaano ki ye ata hai

lahoo lahoo dashte karbala hai...