mere baba ab nahi aayenge
pichle pahar mere aangan mein koi bibi kartihai bain
jaise meri dadi kehti ho ro kar haye hussain
lagta hai mujhko mere baba jaan gawayenge
mere baba ab nahi...
itne bade ghar mein mera ghamkhwar nahi koi
saath mujhe le jaane ko tayyar nahi koi
mujh bemaar ko sab aakhir kab tak samjhayenge
mere baba ab nahi...
dil mein jo mere dard hai sab se kehna mushkil hai
mai wo mareeza hoon mera zinda rehna mushkil hai
jaane waale phir meri surat dekh na payenge
mere baba ab nahi...
nazha mein mujhko qible ki jaanib kaun litayega
kaun meri turbat pe mujhe talqeen sunayega
ghar waale kya mera janaza bhi na uthayenge
mere baba ab nahi...
dil mein mere kaise kasie andeshe aate hai
mujhko hamesha ke liye akbar chod ke jaate hai
apne kaleje par ali akbar barchi khayenge
mere baba ab nahi...
jaane kyun reh reh ke mujhe ek wehm sataata hai
khauf yehi ek mujh bemaar ko khaaye jaata hai
mere ammu darya par shaane katwayenge
mere baba ab nahi...
jaane kahan sab mujhko akela chod ke jaate hai
bemaari mein saare rishte tod ke jaate hai
sab jaaye meri godhi se asghar to na jayenge
mere baba ab nahi...
sacche hai sab mjuhko magar dunya pe nahi hai yaqeen
kaash ye waada poora ho ay mera khuda aameen
kehna hai sab ka jaate hi mujhko bulwayenge
mere baba ab nahi...
nayyar o aamir kaise bayan ho sughra ki uftaad
koi mareeza aaj bhi jaise karti ho faryaad
dunya ko us dukhiya ke nauhe tadpayenge
mere baba ab nahi...