yun rasan basta na hoti kabhi binte zehra
mera abbas jo hota mera abbas jo hota
kaun balwe mein phirata mujhe yun beparda
mera abbas jo hota mera abbas jo hota
aaj tak maine suna bhi na tha bazaar ka naam
haan meri maa ne liya tha kabhi darbar ka naam
mai kahan aur kahan ahle jafa ka balwa
mera abbas jo hota...
kaun zaalim mere qaimon ko jalata aakar
kaun bemaar ko bistar se uthaata aakar
kahan jal sakta tha baysheer ka nanha jhoola
mera abbas jo hota...
aaj kufe mein na hoti meri ye barbadi
jahan qaidi hoon kahin jaati wahin shehzadi
shaane katwake na sota jo mera shehzada
mera abbas jo hota...
is tarha aale nabi jaati na darbaron mein
naam zainab ka ne leta koi bazaaron mein
khaana e aaya e tatheer na hota ruswa
mera abbas jo hota...
maarta hai jo sakina ko tamache koi
pushte abid pe laga jaata hai durre koi
nazar aata na yahan koi sitamgar zinda
mera abbas jo hota...
godh mein maa ki humakta ali asghar mera
khaynchta aake qanaate ali akbar mera
raat bhar wo mere qaime ka talaaya phirta
mera abbas jo hota...
mere bacchon ko agar maut nahi aa jaati
apne ghar mai bhi kabhi chand si bahuein laati
baandhti aun o mohamed ke saron par sehra
mera abbas jo hota...
mai hoon zainab mere bhai thay hamee'at waale
hausle waale wafa waale shajaa'at waale
dekh sakta na tha suraj kabhi mera chehra
mera abbas jo hota...
tha bahot aamir o nayyar ye bhen ko bhi khayal
kahan be-pardagi e ahle haram ka tha sawaal
khud hi ho jaata rida badh ke alam ka saaya
mera abbas jo hota...