hoke battees baras waale baradar se juda
laute maqtal se kamar thaame huwe shaahe huda
di sada lut gaya pardes mein bhai zainab
bhaa gayi sher ko darya ki taraayi zainab
sheh ne rote huwe zainab se kaha
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas
ye gham hamari kamar tod gaya
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
meri quwwat pe hua waar zainab
na raha mera alamdaar zainab
tanha mujhko mere dushman ne kiya
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
waqt hai hum pe qayamat ka behan
aao matam kare ghurbat ka behan
daagh pardes mein bhai ka mila
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
ho gaya fauj ka sardar ghareeb
ab kahan fauj ko salaar naseeb
lo badha do ye alam khoon se bhara
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
mit gayi dasht mein tasveer e ali
khoon mein doob gaya sher e zari
mil gayi khaak mein baba ki dua
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
toota darya pe sakina ka bharam
maut ne cheen ke saqqa e haram
pyase masoomon ka dil tod diya
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
khoon mein dooba alam laaya hoon mai
usko darya pe hi kho aaya hoon mai
jis pe hum sab ko bharosa tha bada
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
uske mar jaane ke ehsaas ka gham
maar dega hamay abbas ka gham
hum na jee payenge bhai ke bina
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...
thaami zainab ne nadeen apni rida
ro ke jis waqt ye sarwar ne kaha
ay behan le gayi bhai ko qaza
haye ghurbat mein hua hum se juda
abbas mera bhai abbas...