Kanz e Aza

Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Nadeem Sultanpuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

Baba, Baba

Bin Sahaare Ke Main Uth Nahi Paati Hoon

Jab Se Darwaza Gira


Baba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra


Pasliyan Dukhti Hain Baithne Uthne Par

Dard Hota Hai Bada


Baba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra


Jab Se Darbaar Se Lauti Hai Ye Beti Bana

Aa Gayi Baalon Mein Zahra Ke Safedi Baba

Jhuk Gayi Meri Kamar, Ho Gaya Haal Mera

Ek Zaifa Jaisa


Ghat Gayi Jism Ki Quwwat Bhi Lahu Behne Se

Saans Ukhadti Hai Zara Der Khade Rehne Se

Ab Namazein Bhi Main Baith Kar Padhti Hoon

Jab Se Pahlu Toota


Baithi Hoon To Utha Bhi Nahi Jaata Baba

Apni Gurbat Pe Bohot Aata Hai Mujhko Rona

Jab Uthati Hai Mujhe Meri Beti Zainab

Thaam Kar Haath Mera


Meri Haalat Pe Lahu Aankhon Se Barsaoge

Kya Sitam Mujhpe Hua, Khud Hi Samajh Jaoge

Main Hatati Hoon Rida, Dekh Lo Ek Dafa

Aap Mera Chehra


Dekho Kya Zulm Kiya Mujhpe Sitamgaron Ne

Dekho Kitna Mujhe Maara Hai Jafakaron Ne

Kitni Zakhmi Hoon Main, Mera Rukhsara Hai Dekho Kitna Neela

Baba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra


Itni Quwwat Se Sitamgar Ne Tamaacha Maara

Baba, Deewar Se Takra Ke Giri Hai Zahra

Aa Gayi Us Din Se Meri Nazron Mein Kami

Dikh Raha Hai Dhundhla

Baba, Pehle Jaisi Nahi Rahi Zahra


Bolti Hoon To Meri Jaan Nikal Jaati Hai

Shiddat-E-Dard Se Aawaaz Badal Jaati Hai

Saans Bhi Dar Dar Ke Fatima Leti Hai, Is Qadar Hai Iza


Ae Nadeem, Ahmad-E-Mursal Ki Dulari Dukhtar

Ro Ke Kehti Thi Nabi Paak Ki Pyaari Dukhtar

Dekh Lo Ummat Ne Aapki Beti Ka

Haal Kya Kar Daala