baba teri ummat ne kaisa ye sitam dhaaya
kitna ghamnaak hai zehra ka fasana haye
guzri jo fatema pe kaise koi batlaye
laash mohsin ko liye roti hai zehra ab tak
godh may fatema ke zakhmi hai bacha ab tak
phasliyan pakde huwe karti hai nauha ab tak
kitni takleef may hai roti hai zehra ab tak
hashr may baap se poochegi ki maanga kya tha
baba aakhir mere mohsin ne bigada kya tha
godh may fatema ke zakhmi hai bacha ab tak
phasliyan pakde huwe...
aag aur lakdiyan lekar junhi dushman aaye
bole darwaza e zehra ko jalaaya jaaye
is khadar zulm huwe roti hai fizza ab tak
phasliyan pakde huwe...
is qadar kohe sitam toot pade hai in par
umr athara baras aur khameeda hai kamar
haye dushwaar hai shehzadi ka chalna ab tak
phasliyan pakde huwe...
qabr e shabbir se lagta hai ki maa lipti hai
haye ye rauza e sarwar se sada uth'ti hai
ban na paaya nahi amma tera rauza ab tak
phasliyan pakde huwe...
seena e shaah se asghar ko utha leti hai
choom kar chehra e baysheer ko ye kehti hai
zakhmi halqoom liye tu bhi hai soya ab tak
phasliyan pakde huwe...
roohe ghazi dar e zindan pe khadi roti hai
ek bhatiji hai jo kurte may abhi soyi hai
chutt na paayi nahi zindan se sakina ab tak
phasliyan pakde huwe...
hai mubarak junhi rehan ne nauha ye padha
khuld se rote huwe aaye ali o zehra
haye zakhmon ka hai shehzadi pe pehra ab tak
phasliyan pakde huwe...