Kanz e Aza

Mera Hi Naam Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Gohar Jarchvi. Lyrics in Roman Urdu.

maidan mein aaya hyder ka sher

nau laakh lashkar karne ko zer

mashk o alam ko utha kar

lab pe rajaz ye saja kar

mai waaris e zor e hyder hoo

saani e hamza o jafar hoo

mera hi naam abbas hai


ghaur se dekho mujhe

mera hi naam abbas hai

mera baba ali maa hai ummul baneen

hoo alamdar e karbobala


mera aaqa hai wo jiske aage

sar adab se jhukata hai kaaba

mere seene mein imran ka dil

khoon ragon mein hai sher e khuda ka

gar badaun qadam kis mein hai itna dam

rok le aake rasta mera

ghaur se dekho mujhe...


mujhko talwaar ki kya zaroorat

mai nigahon se dil kaat dunga

dekhna dekhte dekhte hi

dasht laashon se mai baat dunga

hukm e maula nahi warna mai to yahin

khaynch doon naksha siffeen ka

ghaur se dekho mujhe...


soch kar tum jo akde khade ho

mai akela hoo tum itne saare

laakh do laakh se to akele

jang karte hai bache hamare

meer e lashkar hoo mai

sher e hyder hoo mai

kaun mujhse ladega bhala

ghaur se dekho mujhe...


do rukhi aur aal e nabi se

iska matlab bhi samjhaunga mai

laakh paaon pade ab ye darya

mashk mein bhar ke le jaonga mai

pyaas ki qaid mein yaas ki qaid mai

ab rahega ye darya sada

ghaur se dekho mujhe...


shaamiyon jang karne ki mujhko

mere maula ijazat jo dete

aayegi kis tarha se qayamat

apni aankhon se tum dekh lete

aati jaan se kabhi aasmaan se kabhi

al hazar al amaan ki sada

ghaur se dekho mujhe...


kaamp kar reh gaya dil zameen ka

arsh larza falak thar tharaya

jhoom kar zaigham e murtaza ne

itna keh kar jo naiza uthaya

jaise tayghe ali gardano par chali

yun chalega ye naiza mera

ghaur se dekho mujhe...


meri talwaar ke har nishan par

sab ne dekhi ali ki nishani

maine paaya shabaab e shujaat

maine paayi ali ki jawani

mere har waar par ud ke kehte thay sar

aa gaye ran mein sher e khuda

ghaur se dekho mujhe...


ek qayamat hai farhan o gohar

lashkar e zulm sehma hua hai

mashk mein qaid darya ko kar ke

sher kehta hua jaa raha hai

aaj tak ba khuda jo kaha wo kiya

hum badalte nahi faisla

ghaur se dekho mujhe...