Kanz e Aza

Meray Bhaiya Meray Ghazi Meray Pyaray Abbas

A noha for Moula Abbas (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Gir kay laashay pay yeh Shabir pukaray Abbas..


Hashmi shan e taqudus kay hawalo ki qasam

Ghar main phelay huey purnoor ujalo ki qasam

Tum qamar ho meray bachay hain sitaray Abbas..


Haq nay Mohsin ka badal aap ki soorat main diya

Aap ko Syeda Zahra nay kaha hai beta

Is liye kehtay hain bhaiya ho hamaray Abbas..


Jis main shana kiya kertay thay Ali bhi aksar

Khaak aur khoon main lip tay huey aatay hain nazar

Wo jo hum nay teray gaysu thay sawaray Abbas..


Meray Bhaiya Meray Ghazi Meray Pyaray Abbas


Go kay halqoom sukhati hai tapish seenay ki

Phir bhi honto pay duayen hain teray jeenay ki

Muntazir pyas kay maray hain tumharay Abbas ..


Kufa o sham ki raho ka Khuda hafiz hay

Meray khaimo ka ridaon ka Khuda hafiz hay

Too tay sub Sani e Zehra saharay Abbas..


Akhri baar kalayjay say lagaon kaisay

Yeh tarap dil main liye lout kay jaon kaisay

Teer kis nay teray seenay pay hain maaray Abbas ..