moti hai shifa'at ke shifa hai mere aansu
naazan hoon ke zahra ki dua hai mere aansu
har zakhm ka marham hai har ek gham ka madawa
aejaaz e maseeha hai dawa hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
gir jaata hoon sajde mein muaafi ke liye mai
ek pal ko jo lagta hai khafa hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
hai mashk e sakina se baham in ki rawani
gehrayi mein zamzam se siwa hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
ek baar amaanat hai mere dosh e wafa par
ek ajre risalat bakhuda hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
kausar se inhe koi alag kar nahi sakta
darya e mawaddat mein fana hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
aane do zara ghaib se is waaris e gham ko
khul jayega har aankh pe kya hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
har qalb o nazar ko nahi milti ye baharein
tahweel e alam jin ki ghiza hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
bhaate nahi ek aankh bhi ye ahle sitam ko
paighame shah e karbobala hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
zanjeer ki jhankaar se di jis ne azaanein
us abid e muztar ki ataa hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
tu baani o mukhtare aza e shahe deen hai
zainab teri mehnat ka sila hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...
sharminda na ho jaaye sar e hashr kaleem aa
kehlaane pade haq se qaza hai mere aansu
moti hai shifa'at ke...