jalta hua bistar koi beemar na dekhe
be-jurm o khata tauq e girabaar na dekhe
mar jaaye na sadme hi se beemar ilaahi
be parda haram ko sar e bazaar na dekhe
jalta hua bistar koi...
maango ye duayein shab e ashoor sakina
ye raat kabhi subho ke aasaar na dekhe
jalta hua bistar koi...
thi fikr ye zainab ko rida bhi nahi sar par
is haal may abbas e alamdaar na dekhe
jalta hua bistar koi...
sar naize se ghazi ne giraya hai zameen par
zainab ka khula sar koi badkaar na dekhe
jalta hua bistar koi...
maare hai sitamgar ne sakina ko tamache
zaalim ne zara phool se rukhsaar na dekhe
jalta hua bistar koi...
milti hai kaleem usko sakina se duayein
bachon ko jo be-yaar o madadgaar na dekhe
jalta hua bistar koi...