Kanz e Aza

Jalte Dar Ko

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Munawwar Palasara. Lyrics in Roman Urdu.

ay khuda mujhko ghame zahra mein wo taufeek de

is qadar girya karun ke phasliyan dukhne lage

haye zahra haye zahra

fizza fizza madad ko aao


jalte dar ko mere pehlu se hatao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza


meri ghurbat ka kisi ko bhi nahi andaza

aag ummat ne lagayi to jala darwaza

aake is zulm se ab mujhko bachao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


kaise mujhpar ye musalman ne qayamat dhaayi

mujpe dhaaye wo sitam tooti hai meri phasli

tum khudara na ali ko ye batao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


zakhmi pehlu hai asaa ka hai sahara dekho

phir bhi bacchon se chupati hoon mai in zakhmon ko

tum bhi un se mere zakhmon ko chupao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


rukhe baatil pe pada parda uthane ke liye

haq wilayat ka zamane ko batane ke liye

sar e darbar mera saath nibhao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


wo sitam kaunsa hai mujhpe jo dhaaya na gaya

mere bacche ko to dunya mein bhi aane na diye

farshe matam mere mohsin ka bichao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


rauza e ahmad e mukhtar laraz uthega

meri roodad e masayib jo sunenge baba

tum bhi baba ko mera haal sunao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...


hum bhi dekhenge munawar jab imam aayenge

phir baqiya mein wo nauha yehi padhwayenge

jalte dar ko mere pehlu se hatao fizza

boli zahra meri imdad ko aao fizza

jalte dar ko mere...