Kanz e Aza

Janabe Fatema

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

khadi hai masjid e nabawi mein ho kar

bekas o muztar janabe fatema zahra


mai zehra hoon mujhe pehchano

ye kehti hai wo ro ro kar

janabe fatema zahra


rasan basta gulu e hyder e safdar

kabhi dekha kabhi dekha hai dar jalta

shikasta phasliyon ko thaam kar

kehti hai ghut ghut kar

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


wo bacche chote chote sehm kar

maadar se lipte hai bahot betaab hote hai

wo bacchon ko sambhale ya rakhe

marham wo zakhmon par

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


sar e darbar aayi qadmon pe

chalti hui zahra magar jab de chuki khutba

sahara leke fizza ka gayi

baba ki turbat par

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


masayib mujhpe jo toote dino par

wo agar padte to din raaton mein dhal jaate

mujhe tum paas bulwa lo

yehi kehti hai ro ro kar

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


shikasta phasliyon ke zakhm mein

wo dard badta tha magar posheeda hi rakha

namazein pad rahi thi rakh ke

daaya haath pehlu par

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


falak bhi keh raha tha ye aziyat

dene waalon se ye kalma padne waalon se

jise jhutla rahe ho tum

wohi hai juzwe paighambar

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


shab e rukhsat hai waqt e aakhri hai

dum ukhadta hai ke sab kunba bichadta hai

utha tareeki e shab mein

janaza haye ye keh kar

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...


hai bibi ki aza ke din mai hoon

qalbe tapan majid ho kaise shadman majid

bas ek nauha ho lab par

haye zahra binte paighambar

janabe fatema zahra

khadi hai masjid...