qaimon mein bapa ahle haram ki ye buka hai
lo baazu e shabbir bhi marne ko chala hai
rote huwe kehti hai yehi zainab e dilgeer
tum chal diye haafiz mere parde ka khuda hai
qaimon mein bapa...
darya se zara mashk ko bhar lao ay bhai
bachon ne kayi roz se pani na piya hai
qaimon mein bapa...
yun mashk o alam le ke rawana hua ghazi
jis tarha koi sher taraayi ko chala hai
qaimon mein bapa...
ek naize se abbas ne faujon ko bhagaya
darya ko alamdaar ne qabze mein liya hai
qaimon mein bapa...
talwaar chali kat gaye baazu e alamdar
ek teere sitam mashk e sakina pe laga hai
qaimon mein bapa...
jab mashk se guzra to laga seene pe wo teer
ab qaimon mein kiya jaayein ke dil toot chuka hai
qaimon mein bapa...
jab laasha e abbas pe pahunche shahe wala
dekha ke jawan sher hai dam tod raha hai
qaimon mein bapa...
ghazi ne kaha laasha mera leke na jaayein
sharminda sakina se bahot uska chacha hai
qaimon mein bapa...
abbas ne dam tod diya zaanu e sheh par
darya ki har ek mauj mein matam ki sada hai
qaimon mein bapa...
ghazi ki shahadat jo hui majid o mukhtar
zainab ki aseeri ka ye aaghaaz hua hai
qaimon mein bapa...